SURAT.....!!



Har chehrey mein aati hae nazar yaar ki surat
Aahbab ki surat ho ya Akhyaar ki surat

Siney mein agar sozz salamat ho toh khud he 
Aashar mein dhal jati hae Afkar ki surat

Jis aankh ne dekha tujhe ous aankh ko dekhun
Hae ess k siwah kia tere didar ki surat

Pehchan liya tujh ko teri shishagari say
Aati hae nazar fun say he fankar ki surat

Aashkon ne biyaan kar he diya raz-e-tamana
Hum soch rehey thay abi Izhar ki surat

Ess khak mein Poshida hain har rang k khakey
Mati say nikaltey hain jo Gulzar ki surat

Dil hath pe rakha hae koi hae jo kharidey
Dekhun toh zara main bi kharidar ki surat

Surat meri Ankhon mein samaey gai na koi
Nazroon mein samai rehti hae SARKAR ki surat

WASIF ko sar-e-daar pukara hae kisi ne
Inkar ki surat hae na iqraar ki surat