bahaar aai


bahaar aai to jaise ek baar
laut aaye hain phir adam se
wo Khwaab saare, shabaab saare
jo terey hontoo.n pe mar mite the
jo mit k har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_bo hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahu hai.n

ubal parey hai.n azaab saare
malaal-e-ehvaal-e-dostaa.n bhi
Khumaar-e-aagosh-e-mehavashaa.n bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere humaare
sawal saare, jawaab saare
bahaar aai to khul gaye hai.n
naye sire se hisaab saare