Mujh say pehli si mohabbat


Main nay samjha tha keh too hai tou darakhshan hai hayat
Tera gham hai tou gham-e-dehar ka jhagra kiya hai

Teri soorat say hai aalam main baharoon ko sabaat
Teri aankhoon kay siwa duya main rakha kiya hai

Too jo mil jaye taqdeer nigon ho jaye
Yun na tha,main nay faqat chaha tha yun ho jaye

Mujh say pehli si mohabbat meri mehboob na mang

Un ginat sadyun kay tareek behimanh tilsm
Resham-o-atlas-o-kum khwab main bunwaye hoye

Jaa bejah biktay hoye kocha-o-bazaar main jism
Khak main lithrey hoye khoon main nehlaye hoye

Laut jati hai udher ko bhi nazar kiya kejiye
Abb bhi dilkash hai tera husan magar kiya kejiye

Aur bhi dukh hain zamanay main mohabbat kay siwa
Rahatein aur bhi hain wasal ki rahat kay siwa

Mujh say pehli si mohabbat meri mehboob na mang