laboN pe phuul khilte haiN



laboN pe phuul khilte haiN kisi ke naam se pehle
diloN ke diip jalte haiN chiraagh-e shaam se pehle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiiN paata
kahaani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi suuraj nikalta tha tumhaare baam se pehle

diloN ki jagmagaati bastiyoN pe raaj karte haiN
yahi jo log lagte haiN nihaayat aam se pehle

hui hai shaam jungle meiN parinde lauTte hoNge
ab in ko kis tarah rokeN navah-e-daam se pehle

ya saare rang murda the tumhaari shakl ban_ne tak
ya saare harf mohmal the tumhaare naam se pehle

hua hai voh agar munsif to Amjad ehtiyaatan ham
saza tasliim karte haiN kisi ilzaam se pehle