ham the hamaare saath



ham the hamaare saath ko’ii tiisra na thaa

aisaa hasiin din kahiiN dekhaa sunaa na thaa

aankhoN meiN us kii tair rahe the hayaa ke raNg
palkeN uThaa ke merii taraf dekhtaa na thaa

kuchh aise us ki jhiil si aankheN thiN har taraf
ham ko sivaaye Duubne ke raasta na thaa

haathoN meiN der tak ko’ii khushbuu basii rahii
darwaaza-e-chaman tha vo, baNd-e-qabaa na thaa

us ke to aNg-aNg meiN jalne lage diye
jaaduu hai mere haath meiN mujh ko pataa na thaa

us ke badan ki lau se thii kamre meiN raushni
khiRkii meiN chaand, taaq meiN ko’ii diyaa na thaa

kal raat vo nigaar hua aisaa multafit
aksoN ke darmiyaan ko’ii aaiina na thaa

saaNsoN meiN the gulaab to hoToN pe chaandni
in manzaroN se maiN to kabhi aashnaa na thaa

royaa kuch is tarah mere shaane se lag ke vo
aisaa laga ke jaise kabhii be wafaa na thaa

hai ishq ek rog, mohabbat azaab hai
ik roz ye kharaab kareN ge, kahaa na thaa!

~Amjad vahaaN pe had koi rehtii bhi kis tarah
rukne ko keh raha thaa magar roktaa na thaa