baras jaao kisii din



chehre pe mere zulf ko phailaao kisii din

kyaa roz garajte ho, baras jaao kisii din

raazoN kii tarah utro mere dil meiN kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

peRoN kii tarah husn kii baarish meiN nahaa luuN
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii se
phuuloN kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzreN jo mere ghar se to ruk jaayeN sitaare
is tar’ha merii raat ko chamakaao kisii din

maiN apnii har ik saaNs usii raat ko de duuN
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din