chaaNd ke saath


chaaNd ke saath kaii dard puraane nikle

kitne Gham the jo tire Gham ke bahaane nikle

fasl-e gul aa'ii phir ik baar asiiraan-e-vafaa
apne hii Khuun ke dariyaa meiN nahaane nikle

hijr ki choT ajab saNg-shikan hotii hai
dil kii befaiz zamiinoN se Khazaane nikle

umr guzrii hai shab-e-taar meiN aaNkheN malte
kis ufaq se miraa Khurshiid na jaane nikle

kuu-e-qaatil meiN chale jaise shahiidoN kaa juluus
Khvaab yuuN bhiigtii aaNkhoN ko sajaane nikle

dil ne ik iiNT se ta’miir kiyaa taaj mahal
tuu ne ik baat kahii laakh fasaane nikle

dasht-e tanhaaii-e-hijraaN meiN khaRa sochtaa huuN
haaye kyaa log miraa saath nibhaane nikle

maiN ne 'Amjad' use bevaastaa dekhaa hii nahiiN
vo to Khushbuu meiN bhii aahaT ke bahaane nikle