QATBA.........!!
Zard Paton k Dhair Ki Teh Main
Maly Kaghaz Chupa Gaya Koi
Jin Pe Taza Lahoo Se Likha Hai
...Hum Ne Aik Sath Jena Marna Tha
Jan-e-Maan
Tum Ne Bewafai Ki
Kia Kahen Had-e-Sabar Kis Ki Hai
Kis Se Poochain Ye Qabar Kis Ki Hai......!!
______________________________________
BICHAR KAR BHI.....!!
Bichar Kr Bhi Hum Ase Shakhs Se Bichra Nhi Krte
Jo Ik Fiqra Ada Kr K Kahani Chor Jata Hai
“M0hSin” Mout Bhi Kam Khobsurat To Nhi Ho Gi
Jo Is Ko Dekhta Hai Zindgani Chor Jata Hai.............!!
___________________________________________
GHAREEB KA BEETA......!!
Haan,
Main ghareeb ka beta hon…
Zindagi ko sitam main kehta hon.
Majbooriyon me bhi khush rehta hon.
Chand boondon se pait bhar leta hon.
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Thandi mein thithoor leta hon,
Barsaat mein bheeg leta hon,
Garmi paaon jalaati hai …….
Toh
Pathron pe main so leta hon.
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Kabhi sabzi, to kabhi kuch na milay,
Namak, roti pe main jee leta hon,
Zakham chahay jaisa bhi ho,
Thori haldi main laga leta hon,
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Ek kameez, ek patloon,
Roz bina sabun, main dhota hon,
Bari dukaano ki ronak dekh,
Aksar khush main ho leta hon,
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Gham bhi bohot hai.. Dard bhi hai..
Dil mein sab dabaa leta hon,
Kabhi akelay, to kabhi sab k samnay,
Aankhon se angootha bhigo leta hon,
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon..!!
_________________________________
KHAOTE SIKKAY.......!!
Dil Wo Bazaar Hay Jaan-e-Mohsin Jahan
Khotay Sikkay Bhi Aksar Chalaye Gaye...........!!
___________________________________
AAJ SAKI SHARAB REEHNE DO.......!!
Aaj Saqi Sharaab Rehny Do
Tishnagi K Azaab Rehny Do
Ponch Dalo Na Ankh Se Kajal
Kuch To Khanjar Pe A'ab Rehny Do
Tum Sanwao Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehny Do
Chaand Badal Main Accha Lagta Hai
Adhy Rukh Pe Naqab Rehny DO
Un K Chehry Ki Baat ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehny DO
Un Ki Chokhat Ko Choom Lo Mohsin
Baki Sary Sawab Rehny Do....!!
_________________________________
SHAM_E_GHAM.......!!
Issi Khayal Mein Guzri Hai Shaam-e-Gham Aksar,
Ke Dard Hadh Se Barhey Ga To Muskura Dun Ga…......!!
___________________________________
APNA GHAR.......!!
Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai
Bistar-e-Khaak Lagy Takht-e-Sulemani Mujh Ko
Jaanta Hon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat MOHSIN
Aaina Kr Na Saky Ga Kabhi Heeran Mujh Ko………..!!
____________________________________
MAIN ZINDA HOON......!!
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi 'Mohsin' Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi............!!