GUNGROO.....!!

Mohsin K Khayaloon Main Uttarti Hai Sar-E-Sham. . .
Rim Jhim Ki Tarah Band Ke Gungroo Unki Yaadain. . .


____________________________________

MOHSIN.......!!

Usne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin
Main Ne Tab Tab Yeh Bataya Ke Tumhara Mohsin

Log Sadyon Ki Khataon Pe Bhi Khush Baste Hain
Humko lamhon Ki Wafaon Ne Ujara Mohsin

Jab Agaya ho Ye Yaqin Ab Woh Nahin Aega
Gham Aur Anso Ne Diya Dil ko Sahara Mohsin

Woh Tha Jab Pas To Jeene Ko Bhi Dil Karta Tha
Ab To Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin

Usko Pana To Muqadar Ki lakeron Main Nahi
Uska Khona Bhi Karen Kaisa Gavara Mohsin. . .


____________________________________

ROTHA TOU........!!

Rootha Tou Shehr-e-Khuwab Ko Gaarat Bhi kar Gaya
Phir Muskara kar Taza Shararat bhi kar Gaya


Shayid Ussey Azeez Thein Ankhein meri Buhat
Woh Meray Naam Apni Basaa'rat Bhi Kar Gaya. . .


____________________________________________

AZZAB e SAFAR......!!

Yaa Kon Phir Say Unhe Rastoon Man Chorr Gaya,
Abhe, Abhe Main Azzab'ay Safar Say Nikla Tha. . .


_____________________________________________

BOHAT KATHAAN HAI......!!

Boht Kathaan Hai, Aandharoon Kay Shehar Main Mohsin
Chiraagh Bun Kay Hawa Say Nibhatay Rahna. . .


___________________________________________

USKO FURSAT HE NAHI......!!

Usko fursat hi nahi
waqt nikaly Mohsin
Aisy hoty hain bhala
Chahny waly Mohsin
Yaad k dasht me phirta hon
Main nangy paon
Dekh to aa k kabi
Paon k chhaly Mohsin
Kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai
Hum nahi hon gay
K jb hon gy ujaly Mohsin
Wo jo ik shakhs
Mtaa-e-dil-o-jan tha
Na raha
Ab bhala kon mery
Dard sambhaly Mohsin..


___________________________________________

ANKHEE KHULI TOU......!!

Ankhain khuli to jag uthi hasratain Mohsin
Usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main. . .


__________________________________________

ZAKHAM......!!

Uss ko ghilaaf-e-rooh mein rakha, sambhal ker
MOHSIN wo zakhm bhi to kisi aashna ka tha…


____________________________________________

DAWAA......!!

Rizk,Malboos,Maka'n,Sans,Marz ,Qarz, Dawaa
Munkasim Hogaya Insaa'n Inhi Ifkar K Beech...............!!


_________________________________________________

MERI SURKH ANKHE.....!!

Mari surkh surkh Ankhy Mujhy Bta Rahi Hyn
'MOHSIN'
phir subha kr Di Mane usy Yad Krty Krty..


_______________________________________________

DIL_E_GAREEB......!!

Mohsin dil-e-gareeb ki wairaniya’n to daikh
Kaisa nagar tha jo tere hatho’n ujar gaya. . .


_________________________________________

CHAND UFAQ PAR.......!!

Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra mohsin,
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni…


__________________________________________

TAZA GHAZAL......!!

Phir jaag utha hai dil mein puraney dinon ka dard,
Jee chahta hai ke phir koi taaaza ghazal likhoon..



PAGE's:- 1 - 2 - 3 - 4 ......