PIYAR K ZAKHAM.......!!
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Haalaat Ki Rudaad Sunaayaa Na Karo
Ye Zaruri Nahi Her Shakhs Masihaa Hi Ho
Payaar K Zakham Amaanat Hain Dikhaayaa Na Karo..............!!
_______________________________________
RAAT DARWAZE PEE.......!!
Raat , Darwazy Pe Kitni Dastakun Ke Zakham Thay
.."MOHSIN"..
Phr Woh He Pagal Hawa Thi , Phr Mujh Ko Dhoka Hua ! !
_______________________________________
AKELE RAAT BHAR......!!
Akela Raat Bhar Tarpa Mareez.e.Shaam.e.Gham . .
.."MOHSIN"..
Na Tum Aaey, Na Neend Aae, Na Chain Aya, Na Mout Aae . .
________________________________________
RABT_E_WAFA......!!
Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin!
Bikher Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin !
Hawa Ne Raakh Urayee To Dil Ko Yaad Aaya....
K Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan Mohsin !
Kuch Aisay Gher B Mile Jin Main Ghonghaton K Aawaz..
Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan Mohsin......!
Khun'der Hai Ehud'e'Guzishta Na Chu Na Chair Esay.....
Khulain To Band Na Hoon Is Ki Khirkiyaan Mohsin...!
Bujha Hai Kaun Sitara K Apni Aankh K Sath....
Howey Hain Sare Manazir Dhowan Dhowan Mohsin...!
Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah'o'Saal Apne....!!
Tamam Umer Kati Yun Bhe Ra'ye'gaan Mohsin....!
Mila To Aur Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko....!!!
Sameetna Then Jisay Meri Kirche'yaan Mohsin.....!
Kahe Say Us Nay B Tora Hai Khud Say Rabt'e'Wafa
Kahe Say Bhool Gaya Main B Dastaan !Mohsin....!

MUJHE CHUP REHNE DO.....!!

BICHAR K MUJH SE......!!
Bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
Adhura chand bhi kitna udas lagta hai
Ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
K is k bad wahi duriyon ka sahara hai
Kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
Kise khabar tere saye main kaun baitha hai
Ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
Wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai
Main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
Tera badan hai k ye ainon ka dariya hai
_______________________________________
JIS ROZ DOOB JAYE GA......!!
Jis Roz Doob Jaye ga Teri Anaa Ka Suraj,
Mohsin
Mujko Dohraoge Tum MehfiL Main MisaaLon Ki Tarah.!!
_______________________________________
Yaad-e-Mazi......!!
Main Ne Apno K’ Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K’ Angan Mai B’ Dewaar Utha Di Jaye..…
Mai Ne Yaroon K’ Bhicharne Say Ye Seekha ”MOHSIN”
Apne Dushman Ko B’ Jeene Ke Dua Di Jaye.....................!!

BOHAT DUSHWAR HOTA HAI.......!!
Bohat Dushwar Hota Hai Kisi Ko Youn Bhula Dena
K Jab Wo Shakhs Shamil Ho Ragon Mein Khon Ki Maanind
_______________________________________
MIL HE JAYEIN GAY.......!!
"Mil He Jayein Gay Hum Ko Bhi Kuch Log"
"MOHSIN"
"Shehar Ka Shehar To Bewafa Nahi Hota"

TABIAT SHANAS......!!
Bakhsha Tha Jis Ne Rooh Ko Zakhmo Ka Perahan.
MOHSIN Wo Shakhs Kitna Tabiyat Shanas Tha….!

dard ke chand ko raaton ka sitam sehne do
waqat ki aankh se kuch aur laho behne do
ab mere tarze takhatub se pareshan kyoun ho
men na kehta tha ke yaro mujhe chup rehne do
________________________________________
BICHAR K MUJH SE......!!
Bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
Adhura chand bhi kitna udas lagta hai
Ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
K is k bad wahi duriyon ka sahara hai
Kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
Kise khabar tere saye main kaun baitha hai
Ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
Wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai
Main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
Tera badan hai k ye ainon ka dariya hai
_______________________________________
JIS ROZ DOOB JAYE GA......!!
Jis Roz Doob Jaye ga Teri Anaa Ka Suraj,
Mohsin
Mujko Dohraoge Tum MehfiL Main MisaaLon Ki Tarah.!!
_______________________________________
Yaad-e-Mazi......!!
Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,
Is Say Behtar Hai K’ Har Baat Bhula Di Jaye..