TOU NE NAFRAT SE JO DEKHA.....!!

Tu Ne Nafrat Se Jo Dekha To Mujhe Yaad Aya!
Kaisay Rishtay Teri Khatir Yoon-hi Tor Aya Hoon

Kitne Dhundle Hain Yeah Chehray Jinhien Apnaya Hai
Kitni Ujli Thien Wo Ankhien, Jinhien Chorde Aya Hoon


_________________________________________

ZOQ_E_DEED.......!!

Zoq-e-Deed Mein Hy Takleef hr Roz Sara’sar
“Mohsin”
Achy rehte Hn Wahi Log Jo Mohabbat Nahi Karte…!!!


________________________________________

AWARGI.....!!

Ik Ajnabi Jhonke Ne Jab Pucha Mere Gham Ka Sabab
Sehra Ki Bhigi Rait Par Main Ne Likha Awaragi.................!!


________________________________________

DARTA RAHA......!!

Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha

Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha

Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha

Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha

Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin
Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha....................!!


___________________________________________

WO SALEEQY SE......!!

Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy....................!!


___________________________________________

SaalGirah......!!

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka
Jalti Bhujti Hoi Shamai'n Mai Mah-o-Saal Meray
Dhalta Soraj Meray Mazi Ki Lehad Ka Katba
Rag-e-Sehra Ki Lakeerain Hain Khod-o-Khaal Meray

Chaand Meray Tan-e-Majrooh Pay Sang-e-Aizaz
Dhoop Chaoo'n Meray Sad-e-Chaak Libadahy Ka Kihraj
SUb Sitaray Meri Pooshaak Kay Paiwand-e-Naheef
Meray Ansoo'n Mera Virsa Meri Ankhoo'n Ka Mizaaj

Mera Cherah Meray Maqtool Huner Ki Tarigh
Meri Ankhai'n Meri Dukhti Hoi Ankhoo'n Kay Chiraagh
Meray Hontoo'n Pay Meri Piyaas Kay Nohoo'n Ka Hajoom
Meray Seenay Pay Darakhshan Meri Toheen Kay Dagh

Ajj Ki Sham Kay, Kay Her Saal Isi Shaam Kay Sath
Meri Ukhri Hoi Sansoo'n Mai Grirah Lagti Hai
Aasmaa'n Waqat Kay Anchal Ki Dhanak Bunta Hai
Sari Dharti Tan-e-Uryaa'n Ki Zirra Lagti Hai

Ajj Ki Shaam Kay Her Saal Meray Gham Nawaz
Muskuraatay Howay Kuch Phool Atta Kartay Hain
Kuch Maseeha Meri Khatir Mera Dil Rakhnay Ko
Khat Mai Jeenay Ki Duaa Behj Dia kartay Hain

Saal-ha-Saal Guzernay Pay Bhi Aai Dil-e-Zidgaa'n
Ajj Ki Shaam Manatay Howay Dar Lagta Hai
Muskuraatay Howay Chehroon Kay Bhanwar Hain Lakin
Akhri Shamma Jalatay Howay Dar Lagta Hai

Dil Dharakta Hai Kay Jalti Hoi Shammo'n Ka Dhowaa'n
Shula-e-Karab Mai Tehleel Na Ho Jai Kaheen
Ji Larrazta Hau Manzer Kay Adhiray Pan Ki
Ajj Ki Shaam Takmeel Na Ho Jai Kaheen...!!!

Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhum Shumari Kar Lain
Orr Kuch Dair Mai Her Shamma Pighal Jai Gi
Ajj Ki Bazam Mai Kho Jain, Kaheen So Jain
Ajj Ki Shaam Bhi Kuch Dair Mai Dhal Jai Gi

Jalti Bhujti Shamoo'n Ka Bharosa Kaisa?
Zindegi Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka..............!!


_________________________________________

HIJAR KI RUUT......!!

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Uski

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Uski................!!


_________________________________________

KHUD KO BHI......!!

Khud Ko Bhi Meri Nazar Se Dekho
Makhlooq To Jhoot Bolti Hai..................!!


________________________________________

MASLAY TERE.........!!

Main Theek Se Teri Chahat Tujhy Jata Na Saka
Keh Meri Rah Main Haa'il Thy Maslay Tere

Gullon Ko Zakham, Sitaron Ko Apne Ashk Kahon
Sunaon Khud Ko Tere Bad Tabsaray Tere..............!!


______________________________________

AADI......!!

Dafan Hain Mujh Main Sorishain Kitni
Dil Ki Soorat Khamoosh Waadi Hoon


Shok Se Tark-e-Dosti Kr Ly
Main Teri Nafraton Ka Aadi Hoon.......!!


_______________________________________

TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?

ek anjaane safar main
ek ajnabi ke hamrah door tak jao
or itni door tak jao
ke woh rasta badal jaye..............!!



PAGE's:- 1 - 2 - 3 - 4 ......