ab ke safar kuChh aur thaa



ab ke safar kuChh aur thaa, aur hii kuChh saarab the

dasht-e-talab meN jaa ba jaa, saNg-e-giraan-e-Khwaab the

hashr k din ka ghulghula shehar ke baam-o-dar meN thaa
nigle hue sawaal the, ugle hue jawaab the

ab ke baras bahaar ki rut bhii thii inetzaar ki
lehjoN meN sail-e-dard thaa, aankhoN meN izteraab the

KhwaaboN ke chaaNd Dhal gaye, taaroN ke dam nikal gaye
phuuloN ke haath jal gaye, kaise yeh aaftaab the

sail ki rehguzar hue, hoNT na phir bhi tar hue
kaisi ajiib piyaas thii, kaise ajiib sahaab the

umr isii tazaad meN, rizq-e-ghubaar ho gayii
jism thaa aur azaab the, aankheN thiiN aur Khwaab the

subah huii to shehar ke shor meN yuuN bikhar gaye
jaise voh aadmii na the, naqsh-o-nigaar-e-aab the

aankhoN meN Khuun bhar gaye rastoN meN hii bikhar gaye
aane se qabl mar gaye, aise bhii inqilaab the

saath voh ek raat ka, chashm-e-zadan ki baat thaa
phir na vo iltefaat thaa, phir na vo ijtinaab the

rabt ki baat aur hai, zabt ki baat aur hai
yeh jo fishaar-e-khaak hai, is meN kabhii gulaab the

abr baras ke khul gaye, jii ke ghubaar dhal gaye
aankh meN ruunuma hue, shahr jo zair-e-aab the

dard ki rehguzar meN, chalte to kis khumaar meN
chashm k be-nigaah thii, hoNT k be-khitaab the