SaalGirah......!!

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka
Jalti Bhujti Hoi Shamai'n Mai Mah-o-Saal Meray
Dhalta Soraj Meray Mazi Ki Lehad Ka Katba
Rag-e-Sehra Ki Lakeerain Hain Khod-o-Khaal Meray

Chaand Meray Tan-e-Majrooh Pay Sang-e-Aizaz
Dhoop Chaoo'n Meray Sad-e-Chaak Libadahy Ka Kihraj
SUb Sitaray Meri Pooshaak Kay Paiwand-e-Naheef
Meray Ansoo'n Mera Virsa Meri Ankhoo'n Ka Mizaaj

Mera Cherah Meray Maqtool Huner Ki Tarigh
Meri Ankhai'n Meri Dukhti Hoi Ankhoo'n Kay Chiraagh
Meray Hontoo'n Pay Meri Piyaas Kay Nohoo'n Ka Hajoom
Meray Seenay Pay Darakhshan Meri Toheen Kay Dagh

Ajj Ki Sham Kay, Kay Her Saal Isi Shaam Kay Sath
Meri Ukhri Hoi Sansoo'n Mai Grirah Lagti Hai
Aasmaa'n Waqat Kay Anchal Ki Dhanak Bunta Hai
Sari Dharti Tan-e-Uryaa'n Ki Zirra Lagti Hai

Ajj Ki Shaam Kay Her Saal Meray Gham Nawaz
Muskuraatay Howay Kuch Phool Atta Kartay Hain
Kuch Maseeha Meri Khatir Mera Dil Rakhnay Ko
Khat Mai Jeenay Ki Duaa Behj Dia kartay Hain

Saal-ha-Saal Guzernay Pay Bhi Aai Dil-e-Zidgaa'n
Ajj Ki Shaam Manatay Howay Dar Lagta Hai
Muskuraatay Howay Chehroon Kay Bhanwar Hain Lakin
Akhri Shamma Jalatay Howay Dar Lagta Hai

Dil Dharakta Hai Kay Jalti Hoi Shammo'n Ka Dhowaa'n
Shula-e-Karab Mai Tehleel Na Ho Jai Kaheen
Ji Larrazta Hau Manzer Kay Adhiray Pan Ki
Ajj Ki Shaam Takmeel Na Ho Jai Kaheen...!!!

Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhum Shumari Kar Lain
Orr Kuch Dair Mai Her Shamma Pighal Jai Gi
Ajj Ki Bazam Mai Kho Jain, Kaheen So Jain
Ajj Ki Shaam Bhi Kuch Dair Mai Dhal Jai Gi

Jalti Bhujti Shamoo'n Ka Bharosa Kaisa?
Zindegi Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka..............!!